4/12/2010

Aapke intezaar mein

Aapse baat kiye ek arsa beet gaya,
Mere ye kaan, aapke alfaaz sunne ke liye taraste rahe.
Nighahon ko thandak aapkse ke deedaarse mile.
Is zehan mein aapka nasha bhara hai
Par jaane kyun aapse hi duur rehte hain.
Agar ye awaaz aap sunte hai,
To ek nazar is naacheez par daal dena,
Kahin aapke intezaar mein, yunhi marna jaaye hum.

Kitne dino ke baad, yeh dil aaj hindi mein bak raha hai. Kuch Aapki yaad, kuch ek change ke liye. Din bahut beet gaye yunhi chup rehkar, magar ab raha nahi jaata humse. Aap logonse baat kiye bina chain na aaye. par baat karne ke liye kuch ho tab na.Ek aur shaam jaane ko aayi, aur ek raat hone ko aayi. Hamme aapki yaad ne tarsaaya. lekin dard saale dil ne kamaaya. Gaali hum dena chahete hain, par kambhat is tehzeeb ne rok rakha hai. Bakwaas to hamaari purani aadat hai, par kuch aur kehe bhi to kya. Milte hain hum roz kisi na kisi se, par aapki yaad ne peecha nahi chhoda. Zehan ki awaaz ko kaise ansoona kare, to likh baithe ye choti si paighaam.

Alvida abhi ke liye,
Yaaron...

0 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...